Subscribe RSS Feed

Tuesday, December 21, 2010

Dil Ko Uski Aarzoo Bhi Na Rahi..!!

Zindagi mein kisi se koi shikhwa na raha,
Jise dil se chaha wo kabhi paas na raha,
Jab savera hua to use meri kadra na rahi,
Ab dil ko uski koi aarzoo bhi na rahi..!!

Dekha jisko pyaar se usi ne zakhm hazaar diye,
Kasme vaade pyar ke ek pal me uhi tod liye,
Dil ko tod kar tanha chhodna kya hai sahi,
Sach hai dil ko uski aarzoo bhi na rahi..!!

Wo rahti hai kahi door kisi ashiyane mein,
Yahan Gum bhulate hai sabhi paimane mein,
Uska ashiyan hai yahan se bahot door kahi,
Aur dil ko uski aarzoo bhi na rahi..!!

Jab kho diya tha khudko raahon mein uski,
Tab kaha gayi rasme saari duniya ki,
Iccha thi baaki jo dil mein thi bas ek wahi,
Par dil ko uski aarzoo bhi na rahi..!!

Kahta hai man mujhse, uski tammna nahi,
fir kyu nahi lagti khudki koi baat sahi,
jab dil mein basi hai aaj bhi tasveer wahi,
Kaisi kahdu Dil ko uski aarzoo bhi na rahi..!!

No comments:

Post a Comment